Saturday 1 April 2017

SIMPLE VANILLA CAKE IN URDU ROMAN


NAYE SEEKHNE WALO KA PEHLA CAKE





Cake kaise banta hai, Cake banana bahut mushkil hai etc, ye wo jumle hain jo hamare gharo me aam use hote hain.  Cake banana koi mushkil nahi hai. Jis tarah hamare gharo me Rotiyan/Chapatiyan banai jati hain Europe me bilkul si tarah har ghar me Cake bake karna ek normal aor aam si bat hai. Yaqeenan, Cake baking ek Art bhi hai aur Science bhi lekin bilkul usi tarah Roti aur Chapati banana bhi Art and Science hai. Hamare gharo me bachiyo ko pehle Aata goondhna and phir Roti belna and akhir me pakana sikhaya jata hai jo ke itni asaan bat nahi ke Roti bilkul gol ho, naram ho etc.  Europe me cake bake karna bilkul aise hi ek aam bat samjhi jati hai and khawateen foran hi koi na koi Cake bake kar leti hain.

Europe ke bare se bare Cake expert Chef ko kahen ke wo ulte tawe ki chapati bana kar dekhade to wo nahi bana sakta. Aap baking se bilkul na ghabraen and Bismillah par kar shru karden, ghalatiyan roti pakane me bhi hoti hain and ahista ahista hath saaf hojata hai bilkul isi tarah aap baking bhi kar sakte hain. Isi liye hum ibtida ek bahut simple and asaan ckake se kar rahe hain, difficult cake jin ke sath decoration, designing and frosting hoti hai INSHAALLAH hum wo bhi zaroor banaenge.

Me ne apne Blog ka start is Simple Vanila Cake se kiya and maqsad ye hi tha and ab bhi hai ke aksar gharelu khawateen ek do dafa cake banane ki koshish karke phir is liye chor deti hain ke ye bahut mushkil kam hai, kabhi cake jal gaya to kabhi kacha rah gaya etc.

Simple Vanilla Cake aap ki baking ke liye pehla tajarba samjha ja sakta hai. Aap pehle ye cake bake karlenge to is ke bad InshaAllah aap ko baking easy feel hogi. Isi wajah se hum is asaan cake se ibtida kar rahe hain.

Is ke liye hamen bahut kam ingredients darkar hain and sirf 30 minutes baking. Tamam ingredients aap ke kitchen me hi mil jaenge.

ALLAH ka nam le kar hum ab apna simple aur basic cake banana shru karte hain:





BAKING KI BUNIYADI BATEN:


Sab se pehle aap apne ghar ke Voltage ko check karen ke wo sahi hai, agar voltage kam ya ziada hoga to wo baking theek nahi ho sake gi.

Aap ka dusra step ye hai ke aap apne Oven ke dials ya knobs (button) bhi check karlen ke wo sahi working condition me hain.

Ab aap Oven ko ON ki jiye and Electric Oven ko 180 centigrade par and Gas Oven ko 4 par set karke 15-20 minute ke liye pre heat karlen. Jab tak Oven garam hoga hum cake ki tayyari kar lenge.

Recipe ki tamam ashiya ko apne samne rakh len kiu ke ye bhi hota hai ke hum kuch bhool jate hain, is liye ye Ingredients samne rakh kar recipe me tick bhi karden.

Cake Pan ko niche and sides me oil ya makhan lagalen take bake hone ke bad nikalne me asaani ho. Mazeed sahulat ke liye aap Butter Paper ko mold ke bottom ke size me kat len and niche bichaden, isi tarah sides par bhi lagaen pehle se lage huwe Makhan ya oil ke ooper and phir is Butter paper par bhi makhan ya oil lagaden.




AJZA (INGREDIENTS):

  1. 1-1/2 Cup Maida
  2. 1 Cup Chini
  3. 1/2 Cup aur 1 Tablespoon Makhan ya Vegitable Oil.
  4. 2 Anday (bare)
  5. 1/4 Cup Doodh (Optional/akhtiyari)
  6. 1-1/2 Teaspoon Baking Powder
  7. 1/2 Teaspoon Vanilla Essence

TARKEEB:

  1. Sab se pehle maiday me baking powder dal kar dono ko chan len and alag rakh den.
  2. Dusre pyale me Makhan aor Chini ko achi tarah mix karen, Electric Mixer se, Egg Beater se ya Hand Mixer se jo bhi aap ke Kitchen me maujood ho.
  3. Ab Chini waley Mixture me ek ek karke Andey tor kar dalen and beat karte rahen yaha tak ke mixture ka rang tabdeel ho kar pheeka hojae. 
  4. Mixer ko band karke Pyaley ki sides ko saf karen.
  5. Yad rakehn ke bahut ziada beating nahi karni, matlab ye ke Over Mix na ho.
  6. Vanilla Essence mix karke zara sa mix karen and phir Maide wala khushk mixture 3 hisso me shamil karke (FOLD)karen.  (lakri ke chamche ya spatula se mix karen), jab tak ye amiza creamy na hojae. Total time 5 minute se ziada nahi hoga.
  7. Agar chahen to ab doodh shamil karen ek ek tablespoon karke beting ya mixing bahut slow speed par karte huwe, agar shamil na karen to bhi koi problem nahi. Doodh se Cake ka zaiqa kuch aur acha hoga.
  8. Ab cake ka mixture bilkul tayyar hochuka hai, aap is ko Cake ke Pan me dalen and phir is pan ko 2-3 bar counter ya kisi sakht sitah par tap karen ta ke mixture achi tarah level hojae.
  9. Oven ke centre me Pan ko rakehn and 30-35 minute ki timing den.
  10. Taqreeban 25 minute ke bad Oven ka door khol kar Cake ke bilkul beech me tez churi ya tooth pick dalen and nikal kar dekhen ke wo saf hai and us par gila mixture chipka huwa nahi hai to samjhen ke Cake tayyar hai nikalne ke liye.
  11. Agar churi ya tooth pick zara si gili ho to bhi no problem, aap Cake nikal sakte hain, lekin agar bahut gili ho to abhi na nikalen.
  12. Dusri bat note karne ki ye hai ke Cake ooper se golden hojaega and sides ko chorne lagega.
  13. Cake ko bahir nikalen, Oven ka switch off karden.
  14. Lohe ya Steel ki jaali jo ke garam Degchi ko rakhne ke liye hoti hai us par ye Cake Pan rakh den thanda hone ke liye.
  15. Market me Cooling Rack ke nam se aisi jaliyan milti hain lekin aap apne ghar me maujood jali se ye kam le sakte hain.
  16. 15 minute thanda karke kisi plate ya platter par pan ko ulta karke rakhen and ooper se tap karen lekin pehle churi ko pan and cake ki sides ki taraf ghumalen. Cake bahir nikal aega, seedha karke slice karen aur lutfandoz ho.

NOTE:

Fold karne ka matlab hai ke bahut slowly and aram se mix karna. Khusk ajza ko mostly fold hi karna chahiye, beating se over mix hokar result acha nahi aega.





Ab aap ka baking ka pehla experience is Simple Vanilla Cake ki shakal me tayyar ho chuka hai.

Apne dil se NAKAMI KA KHOUF bilkul nikal kar door phaink dein.





Thanks,


NOVICE


No comments:

Post a Comment